Monday, September 29, 2008

Climax of "A Wednesday"

Hi all! I watched the Hindi movie "A Wednesday" a few days back. The director Neeraj Pandey, being a debutant, has played a safe game and been able to make a commendable movie. I would rather call it a plausible movie presented in a dramatic manner. What people liked in the movie was the conversation between Naseeruddin Shah and Anupam Kher in the climax. However, Naseer Sir's act was more like a soliloquy as the director wanted an India's stupid common man to be heard by the other stupid common men. Anupam Sir was chipping in right on cue at regular intervals. I googled the dialogues but all in vain. Then, I decided to give it a try myself. I took some pain to jot down dialogues which spanned 8-odd minutes. So here you go:

Anupam Kher: Sorry, main kuchh samjha nahi.
Naseeruddin Shah: Aapke ghar mein cockroach aata hai toh aap kya karte hain, Rathore Saahab? Aap usko paalte nahi, maarte hain. Yeh chaaro cockroach mera ghar ganda kar rahe the aur aaj main apna ghar saaf karna chahta hoon.

AK: Tum...Tum ho kaun?
NS: Main woh hoon jo aaj bus aur train mein chadhne se darta hai. Main woh hoon jo kaam par jata hai toh uski biwi ko lagta hai jung pe ja raha hai. Pata nahi lautega ya nahi. Har 2 ghante baad phone karti hai ki chai pee ki nahi, khana khaya ki nahi. Darasal woh yeh jaanna chahti hai ki main zinda hoon ya nahi. Main woh hoon jo kabhi barsaat mein fansta hai, kabhi blast mein. Main woh hoon jo kisi ke haath mein tasbeeh dekhke shaq karta hai aur main woh bhi hoon jo aaj-kal daadhi badhane aur topi pahenne se ghabrata hai. Business ke liye dukaan khareedta hai toh sochta hai dukaan ka naam kya rakhoon. Kahin dange mein mera naam dekhke meri dukaan na jala dein? Jhagda kisi ka bhi ho, bewajah marta main hi hoon. Bheed toh dekhi hogi na aapne? Bheed mein se koi 1 shakal chun lijiye, main woh hoon. I'm just the stupid common man wanting to clean his house.

AK: Aaj achanak yeh stupid common man kaise jaag gaya? Woh bhi 6 kilo RDX ke saath.
NS: Kyun, jaag gaya toh taqleef ho rahi hai? Zindagi bhar ghut-ghutke marte rahne chahiye tha mujhe? Aur yeh achanak nahi hua, Rathore Saahab. Yun samajhiye ki time nahi mila. Roji-roti ke chakkar mein yeh kaam zara neglect ho gaya. Lekin der aaye, durust aaye. Woh baaki ka 1 cockroach bhi aaj hi marega.

AK: Yeh 4 hi kyun? Aur bhi toh hain.
NS: Maine lottery nikaali thi. In chaaro ka naam nikal aaya.

AK: Tum yeh keh rahe ho ki agar humne is 1 Ibrahim ko nahi maara toh na jaane kitne begunaahon ko tum maar doge?
NS: Arey! woh log toh waise bhi marenge, Rathore Saahab. Aaj nahi toh kal. Aur Ibrahim Khan jaise log hi maarenge unhe. Pichhli baar train mein maara tha. Is baar kahin aur maarenge. Aur tab tak maarte rahenge jab tak hum inko jawaab dena nahi seekhenge.

AK: Tum ho kya?
NS: Matlab?

AK: Matlab, Hindu ho, Musalmaan ho, kya ho?
NS: Mere majhab ka isse kuchh lena-dena nahi hai.

AK: Lena-dena hai.
NS: Maine kaha na, I'm just the stupid common man.

AK: Stupid common man?
NS: Right!

AK: Tumhe dar lag raha hai pakde jaane ka, maare jaane ka.
NS: Shayad.

AK: Be specific. Haan ya na?
NS: Haan!

AK: Toh fir yeh dar yaad rakhna. Aur yeh mat sochna ki tum aam aadmi ka jhanda dikhakar bach jaoge. Tum jo saabit kar rahe ho na, woh...
NS: Main saabit kuchh nahi karna chahta, Rathore Saahab. Main sirf aapko yaad dilana chahta hoon ki logon mein gussa bahut hai. Unhe aajmaana band kijiye. We are resilient by force, not by choice. Aapko bebas karne mein mujhe sirf 4 hafte lage. Aapko kya lagta hai ki jo log humein maarte hain, woh humse jyada intelligent hain? Arey! Internet par 'bomb' type karke search maariye. 352 sites milenge ki bomb kaise banaya jaata hai, kya-kya equipment istemaal hota hai. Saara information aasaani se accessible hai, mufat mein. Aap jaante hain ki kapde dhone ka sabun tak 1 potential bomb hota hai, eh? Mujhe lagta hai ki common man ke liye isse jyada useful product aaj tak nahi bana. Galti hamari hai, hum log bahut jaldi used-to ho jaate hain. 1 aisa haadsa hota hai toh channel badal-badalke saara maajra dekh liya, SMS kiya, phone kiya, shukar manaya ki hum log bach gaye aur fir hum us situation se ladne ke bajaaye, uske saath adjust karna shuru kar dete hain. Par hamari bhi majboori hai na? Humein ghar chalana hota hai, Saahab. Isiliye hum sarkaar chunte hain ki woh mulk chalaye. Aap log, sarkaar, police force, intelligence saksham hain is tarah ke pest control ke liye lekin aap log kar nahi rahe hain, sirf shah diye ja rahe hain, eh? Why are you not nipping them in the bud? 1 aadmi gunehgaar hai ya nahi, isko saabit karne ke liye aapko 10 saal lag jaate hain. Aapko nahi lagta ki yeh aapki qaabiliyat par sawaal hai? Yeh saara naatak band hona chahiye. This whole bloody system is flawed. Aap jaise log in keedon ka safaya nahi karenge toh humein jhaadu uthani hogi lekin kya usse hamari is civilized society ka balance bigad jayega lekin kya karein? Rathore Saahab, mujhe yakeen hai ki jo train blast huye, woh sirf 1 terrorist activity nahi thi. Woh 1 bahut bada sawaal tha. Aur woh sawaal yeh tha ki: Bhai, hum toh tumhe isi tarah maarenge, tum kya kar loge? Yes, they asked us this question. On a Friday. Repeated it on Tuesday. I'm just replying on Wednesday.

AK: Tumhari yeh home-made add-salt-to-taste wali philosophy galat hai. Yeh sahi tareeka nahi hai.
NS: Haan, jaanta hoon. Lekin aaj main tareeke ke baare mein nahi, nateeje ke baare mein soch raha hoon.

AK: Tumhara koi jaan-pehchaan wala mara tha in blast mein?
NS: Kyun, mujhe us din ka intezaar karna chahiye jab mera koi apna bewajah is tarah ki jaleel maut mare? Tab mera yeh kadam aapko jaayaj maloom hoga? Haan, jaanna hi toh suniye. Mera apna koi tha us train mein. 20-21 saal ka tha. Naam nahi jaanta main uska. Har roj milta tha first class mein. Faatak pe latak ke, muskura ke, haath hila ke hello kehta tha. Main bhi usko jawaab mein hello kehta tha. Aise bahut saare log the. Ek-dusre ko naam se nahi jaante the, sirf hello se jaante the. Haadse se 1 roj pehle, usne muskurake mujhe apni engagement ring dikhayi thi. He was very happy. Agle roj meri train miss ho gayi. Main bach gaya par woh nahi bach paya. Uske baad jab main train mein gaya toh meri jaan-pehchaan ka koi nahi tha. Sab naye chehre the.

AK: Toh yeh sab tum un purane chehron ke liye kar rahe ho?
NS: Nahi, nahi, nahi. Main itna bhi emotional ya sentimental nahi hoon. I always knew what loss is. Apno ko marte huye dekha hai maine. Lekin Saahab, yeh acceptable nahi hai. Koi maadar...Pardon my language. Lekin koi maadarchod button dabakar mere liye yeh faisla nahi karega ki mujhe kab marna hai. Unhe fakhra hai 92 pe, 93 pe, 2006 pe. Gujarat, Mumbai, Delhi, Malegaon pe. Mujhe fakhra hai khud pe ki main aise logon ko maar raha hoon. Main koi maseeha nahi hoon, Rathore Saahab. Aur yeh main kisi ke liye nahi, sirf apne liye kar raha hoon. Main chahta hoon ki agar mera bachcha ghar se baahar nikle toh bekhauf ghoome kahin bhi, kabhi bhi. Train mein, bus mein, kahin bhi.

AK: Main tumhe samajh nahi pa raha hoon.
NS: Kyunki mere reasons aur meri demand ajeeb si hai na?

AK: Shayad.
NS: Be definite. Haan ya na?

AK: Haan.
NS: Woh log mere jaise 200 ko maare toh theek hai aur main un jaise sirf 4 ko maaru toh yeh ajeeb sa hai, eh? Aapki galti nahi hai. Aam aadmi se yehi ummeed ki jati hai: aam aadmi ki tarah jiyo, aam aadmi ki tarah bardaasht karo aur aam aadmi ki tarah maro. Apne aap ko hi dekh lijiye. Jab tak aapko maloom nahi tha ki main kaun hoon, aap mujhse dar bhi rahe, mujhe seriously bhi le rahe the. Ab maine aapko bata diya ki main 1 aam aadmi hoon toh aapki aawaaj mein achanak 1 confidence aa gaya hai. Shayad aap yeh bhi soch rahe honge ki: achchha, terrorist nahi hai, aam aadmi hai tab toh pakad loonga.

PS: Please, do not think it as a review of the movie and do appreciate my effort if you enjoyed reading the post.

16 comments:

Binu Thomas, Pallivathukkal, Pezhumpara said...
This comment has been removed by the author.
Binu Thomas, Pallivathukkal, Pezhumpara said...

Thank you very much Rohit.. I was searching for the climax dialogues. So heart touching (for common man not for terrorists)

I appreciate your effort.

Rohit Jaroudiya said...

You are welcome, Binu!

A Simple Equation said...

Thanks for the dialogues...searched everywhere on the internet and found it on ur page. Thanx again !1

abby said...

Thanks rohit for all the hard work!

abby said...

Thanks rohit for all the hard work!

Unknown said...

Appreciated! Good work bro... Keep it up. I am bookmarking your blog

Unknown said...

Appreciated! Good work bro... Keep it up. I am bookmarking your blog

Sanjeet Shukla said...

Thank you very much Friend.. I was searching for this dialogues and finally I found it at only one place that is your blog.

I appreciate your effort it saved my time.

Thank you

Sanjeet Shukla said...

Thank you very much Friend.. I was searching for this dialogues and finally I found it at only one place that is your blog.

I appreciate your effort it saved my time.

Thank you

Unknown said...

Click Here To Download Full Movie For Free. The Quality Of Video Is Of High Quality
Full Movie Download

Unknown said...

That was really great.
I got the stuff I was looking for and thanx very much for the same.

Unknown said...

That is really great
I got the stuff I was looking for.
Thank you very much for the same.

Suraj said...

Thanks buddy

Unknown said...

seriously hats off to you...i have watched the movie but it never feels old whenever i watch it.

Harshal Trivedi said...

Great work..appreciated... Was thinking to do the same when didn't find it..but finally got it with ur help...thanx brother..