Friday, October 24, 2008

Rishtey

Hi all! Rishtey is a song through which I have tried to put my views about all sorts of relationships we human beings have with one another. Read it to agree or disagree with me.

Insaan ke banaye gaye rishtey bhi kitne ajeeb hote hain
Aksar woh log dhokha dete hain jo dil ke kareeb hote hain

Lamha-lamha zindagi gujar jati hai, tab ehsaas hota hai
Jinhe hum kabhi samajh nahi pate, woh apne habeeb hote hain

Aur jinhe hum apna humdard, humsaya, humsafar samajhkar
Har raaj batate aaye hain, woh dost na hokar raqeeb hote hain

Aap hazraat ko marne se aur mujhe zinda rahne se dar lagta hai
Hum to woh hain jo har din marhoom zindagi ki saleeb dhote hain

Din-raat ek karke paisa kamaya par yeh kabhi nahi socha
Ki daulatmand insaan dil se kitne bade gareeb hote hain

Ishq ke abhra! Jara khulke baras, mujhe shab-e-furqat ko ilm hua
Ki jin ko kabhi pyar nahi mil pata, woh log badnaseeb hote hain

Habeeb = Friend
Raqeeb = Enemy
Hazraat = Janaab
Marhoom = Dead
Saleeb = Cross used to crucify people
Abhra = Cloud
Shab = Night
Furqat = Separation
Ilm = Realization

PS: Please, do appreciate my effort if you enjoyed reading the post.

No comments: