Thursday, March 12, 2009

Nayi Duniya (Farewell)

Yahan par mujhe ek nayi duniya nazar aayi hai
Pyar itna mila ki meri aankhein bhar aayi hai

Class mein professors ki daant yaad rahegi hamesha
Apne college ki duniya yun hi aabaad rahegi hamesha
Kal se har koi apni-apni naukri ka intjaam karega
Aur papa toh mere bhi kehte the ki beta naam karega
Shayad yeh yaaron ki dua hai jo asar layi hai
Yahan par mujhe ek nayi duniya nazar aayi hai
Pyar itna mila ki meri aankhein bhar aayi hai

Jab bhi main gira, doston ne sambhala hai mujhko
Kharaab waqt mein, mushkilon se nikala hai mujhko
Sochta hoon ki kya kabhi aise din wapas aayenge
Chehre toh kayi honge, par apne kahan mil payenge
Aaj mujhe zindagi, phir se usi dagar layi hai
Yahan par mujhe ek nayi duniya nazar aayi hai
Pyar itna mila ki meri aankhein bhar aayi hai

2 comments:

mukul singhal said...

Bhai, ise padkar IMT ki yaad aa gayi.. really too touching..

Rohit Jaroudiya said...

Thanks a lot, Mukul.